ek hasin daur se guzra tha kabhi yaad na kar
ek hasin daur se guzra tha kabhi yaad na kar
Asad Ahmad Mujaddadi Asad
MORE BYAsad Ahmad Mujaddadi Asad
ik hasīñ daur se guzrā thā kabhī yaad na kar
kaam himmat se liye jā ise barbād na kar
aazmā zabt-o-fuġhāñ nāla-o-fariyād na kar
yād-e-māzī se dil-e-ḳhasta ko ābād na kar
ham ne maanā ki sitam tujh pe huā hai lekin
dil-e-betāb ko sharminda-e-faryād na kar
hoñ bahāna tujhe aañsū to salīqe se bahā
aise nāyāb guhar muft meñ barbād na kar
ai 'asad' ho na asar vaqt ke bahkāne kā
ab kisī aur ko dil meñ kabhī ābād na kar
ek hasin daur se guzra tha kabhi yaad na kar
kaam himmat se liye ja ise barbaad na kar
aazma zabt-o-fughan nala-o-fariyaad na kar
yaad-e-mazi se dil-e-KHasta ko aabaad na kar
hum ne mana ki sitam tujh pe hua hai lekin
dil-e-betab ko sharminda-e-faryaad na kar
hon bahana tujhe aansu to saliqe se baha
aise nayab guhar muft mein barbaad na kar
ai 'asad' ho na asar waqt ke bahkane ka
ab kisi aur ko dil mein kabhi aabaad na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.