ek hasin KHwab jo aankhon mein basa hai wo hai
ik hasīñ ḳhvāb jo āñkhoñ meñ basā hai vo hai
mujh se tanhā.ī meñ jo bol rahā hai vo hai
jab kabhī maiñ ne paḌhī umr-e-guzishta kī kitāb
ek saayā sā jo aahaT pe rukā hai vo hai
zindagī ne to kabhī kuchh na diyā ġham ke sivā
ishq ne mujh ko jo ik ruup diyā hai vo hai
merī qismat ke sitāre haiñ usī se raushan
chāñd ban kar jo mire dil meñ chhupā hai vo hai
maiñ vo ik jhiil ki jis kī koī manzil hī nahīñ
duur tak saath jo mere hī bahā hai vo hai
chhoḌ ke mujh ko sabhī lauT ga.e āḳhir-e-shab
saañs ban kar jo mire dil meñ rukā hai vo hai
ban ke ummīd jo chamkā thā vahī thā 'anjum'
aur abhī dard sā jo dil meñ uThā hai vo hai
ek hasin KHwab jo aankhon mein basa hai wo hai
mujh se tanhai mein jo bol raha hai wo hai
jab kabhi main ne paDhi umr-e-guzishta ki kitab
ek saya sa jo aahaT pe ruka hai wo hai
zindagi ne to kabhi kuchh na diya gham ke siwa
ishq ne mujh ko jo ek rup diya hai wo hai
meri qismat ke sitare hain usi se raushan
chand ban kar jo mere dil mein chhupa hai wo hai
main wo ek jhil ki jis ki koi manzil hi nahin
dur tak sath jo mere hi baha hai wo hai
chhoD ke mujh ko sabhi lauT gae aaKHir-e-shab
sans ban kar jo mere dil mein ruka hai wo hai
ban ke ummid jo chamka tha wahi tha 'anjum'
aur abhi dard sa jo dil mein uTha hai wo hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.