ek hawa aisi chali bagule bhi kale ho gae
ik havā aisī chalī bagule bhī kaale ho ga.e
chāñd ko sardī lagī sūraj ko chhāle ho ga.e
maz.habī ātish ne bachpan kī jalā dī dostī
ham bhī ka.aba ban ga.e tum bhī shivāle ho ga.e
hausla chhūne kā thā bachpan meñ tujh ko āsmāñ
barsoñ terī samt ik patthar uchhāle ho ga.e
hijr kī daulat ne mālā-māl mujh ko kar diyā
baal chāñdī ke hue sone ke chhāle ho ga.e
aire-ġhaire natthū-ḳhaire paḌh rahe haiñ chehre ab
chehre chehre na hue goyā risāle ho ga.e
daaġh sūraj kī hukūmat par bhī kuchh to lag gayā
kuchh ujāle jab añdheroñ ke nivāle ho ga.e
ā.inoñ par pattharoñ ke qatl kā ilzām kyuuñ
aa.ine ā.īne na hoñ jaise bhāle ho ga.e
dekh lete tum bhī apne is zamīñ ke 'chāñd' ko
itnī jaldī āsmāñ ke kyuuñ havāle ho ga.e
ek hawa aisi chali bagule bhi kale ho gae
chand ko sardi lagi suraj ko chhaale ho gae
mazhabi aatish ne bachpan ki jala di dosti
hum bhi kaba ban gae tum bhi shiwale ho gae
hausla chhune ka tha bachpan mein tujh ko aasman
barson teri samt ek patthar uchhaale ho gae
hijr ki daulat ne mala-mal mujh ko kar diya
baal chandi ke hue sone ke chhaale ho gae
aire-ghaire natthu-KHaire paDh rahe hain chehre ab
chehre chehre na hue goya risale ho gae
dagh suraj ki hukumat par bhi kuchh to lag gaya
kuchh ujale jab andheron ke niwale ho gae
aainon par pattharon ke qatl ka ilzam kyun
aaine aaine na hon jaise bhaale ho gae
dekh lete tum bhi apne is zamin ke 'chand' ko
itni jaldi aasman ke kyun hawale ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.