ek hawa sa mere sine se mera yar gaya
ik havā sā mire siine se mirā yaar gayā
zinda karne mujhe aayā thā magar maar gayā
ab to ye jism bhī jaatā nazar aatā hai mujhe
ishq ab chhoḌ mirī jaan ki maiñ haar gayā
iiñT gaare kā bas ek Dher banā baiThā huuñ
zer-e-ta.amīr mujhe chhoḌ ke me.amār gayā
ghar ko vāpas kabhī jaatā nahīñ dekhā gayā vo
sab ne jis shaḳhs ko dekhā thā ki bāzār gayā
rāste meñ kahīñ niiñd aa ga.ī hogī shāyad
is safar meñ to mirā dīda-e-bedār gayā
aaj ik husn ne bheje the sipāhī apne
farhat-ehsās mohabbat meñ giraftār gayā
ek hawa sa mere sine se mera yar gaya
zinda karne mujhe aaya tha magar mar gaya
ab to ye jism bhi jata nazar aata hai mujhe
ishq ab chhoD meri jaan ki main haar gaya
inT gare ka bas ek Dher bana baiTha hun
zer-e-tamir mujhe chhoD ke meamar gaya
ghar ko wapas kabhi jata nahin dekha gaya wo
sab ne jis shaKHs ko dekha tha ki bazar gaya
raste mein kahin nind aa gai hogi shayad
is safar mein to mera dida-e-bedar gaya
aaj ek husn ne bheje the sipahi apne
farhat-ehsas mohabbat mein giraftar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.