ek hujum-e-girya ki har nazar tamashai
ik hujūm-e-girya kī har nazar tamāshā.ī
der se ḳharāboñ meñ hai asiir tanhā.ī
dil kī shaam kī sūrat zaḳhm zaḳhm sannāTā
jaañ ki shor-e-vahshat meñ sub.h kī tamannā.ī
kākul-e-ḳhizāñ tere be-sabab ulajhne se
chehra-e-bahārāñ par dekh tīrgī chhā.ī
thī tirī nigāhoñ ke sail-e-tīrgī meñ gum
kab tire ujāle meñ ḳhud ko maiñ nazar aa.ī
qurb thā ki ā.īna jaañ talak bulātā thā
hijr ne bhulā dī hai sūrat-e-shanāsā.ī
bāb-e-rañg ġhunchoñ ke pairahan pe vā kar ke
khil rahī hai shāḳhoñ par dard kī pazīrā.ī
ḳhush huuñ ik sitāre par dekh kar makāñ apnā
raat merī bīnā.ī kaun sī nazar laa.ī
ek hujum-e-girya ki har nazar tamashai
der se KHarabon mein hai asir tanhai
dil ki sham ki surat zaKHm zaKHm sannaTa
jaan ki shor-e-wahshat mein subh ki tamannai
kakul-e-KHizan tere be-sabab ulajhne se
chehra-e-bahaaran par dekh tirgi chhai
thi teri nigahon ke sail-e-tirgi mein gum
kab tere ujale mein KHud ko main nazar aai
qurb tha ki aaina jaan talak bulata tha
hijr ne bhula di hai surat-e-shanasai
bab-e-rang ghunchon ke pairahan pe wa kar ke
khil rahi hai shaKHon par dard ki pazirai
KHush hun ek sitare par dekh kar makan apna
raat meri binai kaun si nazar lai
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 245)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.