ek husn-e-kaamyab hai mausam basant ka
ek husn-e-kaamyab hai mausam basant ka
Bishan Dayal Shad Dehlvi
MORE BYBishan Dayal Shad Dehlvi
ik husn-e-kāmyāb hai mausam basant kā
'ishrat se bāryāb hai mausam basant kā
naġhma-sarā rabāb hai mausam basant kā
bedārī-e-shabāb hai mausam basant kā
dil-dāda-e-sharāb hai mausam basant kā
paimāna-e-savāb hai mausam basant kā
sab mausamoñ kī aab hai mausam basant kā
vallāh āftāb hai mausam basant kā
sonā bichhā huā hai har ik sabza-zār par
tasvīr-e-inqilāb hai mausam basant kā
har chiiz par ubhār hai har shakl par nikhār
umDā huā shabāb hai mausam basant kā
sarsoñ kī aabrū pe zamāne kī hai nazar
qismat kā lā-javāb hai mausam basant kā
rangīniyoñ meñ is kī mohabbat kī hai jhalak
tasvīr-e-be-hijāb hai mausam basant kā
har zindagī pe chhā.ī huī be-ḳhudī sī hai
bikhrī huī sharāb hai mausam basant kā
dāman meñ jis ke phūltī phaltī hai aarzū
vo husn-e-shoḳh-o-shāb hai mausam basant kā
kyā manzar-e-hasīñ hai ki dil shaad 'shād' hai
jāgīr-e-iztirāb hai mausam basant kā
ek husn-e-kaamyab hai mausam basant ka
'ishrat se baryab hai mausam basant ka
naghma-sara rabab hai mausam basant ka
bedari-e-shabab hai mausam basant ka
dil-dada-e-sharab hai mausam basant ka
paimana-e-sawab hai mausam basant ka
sab mausamon ki aab hai mausam basant ka
wallah aaftab hai mausam basant ka
sona bichha hua hai har ek sabza-zar par
taswir-e-inqilab hai mausam basant ka
har chiz par ubhaar hai har shakl par nikhaar
umDa hua shabab hai mausam basant ka
sarson ki aabru pe zamane ki hai nazar
qismat ka la-jawab hai mausam basant ka
ranginiyon mein is ki mohabbat ki hai jhalak
taswir-e-be-hijab hai mausam basant ka
har zindagi pe chhai hui be-KHudi si hai
bikhri hui sharab hai mausam basant ka
daman mein jis ke phulti phalti hai aarzu
wo husn-e-shoKH-o-shab hai mausam basant ka
kya manzar-e-hasin hai ki dil shad 'shad' hai
jagir-e-iztirab hai mausam basant ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.