ek husn-e-sarapa hai mere yar ghazal mein
ek husn-e-sarapa hai mere yar ghazal mein
Khaliq Husain Pardesi
MORE BYKhaliq Husain Pardesi
ik husn-e-sarāpā hai mere yaar ġhazal meñ
āshiq na kare kyoñ tirā dīdār ġhazal meñ
inkār meñ maḳhmūr nigāhoñ kā asar hai
har sher nazar aatā hai sarshār ġhazal meñ
ab mere tasavvur meñ nahīñ koī añdherā
bikhre haiñ tire husn ke anvār ġhazal meñ
ash.ār meñ ab sirf siyāsat kī hī bāteñ
kam ho gayā zikr-e-lab-o-ruḳhsār ġhazal meñ
rusvā koī ho jā.egā 'pardesī' samajh le
achchhā nahīñ yuuñ ishq kā iz.hār ġhazal meñ
ek husn-e-sarapa hai mere yar ghazal mein
aashiq na kare kyon tera didar ghazal mein
inkar mein maKHmur nigahon ka asar hai
har sher nazar aata hai sarshaar ghazal mein
ab mere tasawwur mein nahin koi andhera
bikhre hain tere husn ke anwar ghazal mein
ashaar mein ab sirf siyasat ki hi baaten
kam ho gaya zikr-e-lab-o-ruKHsar ghazal mein
ruswa koi ho jaega 'pardesi' samajh le
achchha nahin yun ishq ka izhaar ghazal mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.