ek huk si dil mein uThti hai aur ashk-fishani hoti hai
ik huuk sī dil meñ uThtī hai aur ashk-fishānī hotī hai
yaad un kī satāne aatī hai jab raat suhānī hotī hai
ye sozish-e-ġham ye dard-o-alam in.ām-e-mohabbat kyā kahiye
ik daaġh hī par mauqūf hai kyā har chiiz nishānī hotī hai
lahrātā rahe gar sho.ala-e-ġham to husn kā dāman bach na sake
ādāb-e-mohabbat kī ḳhātir ye aag bhī paanī hotī hai
thī sāmne hī kī baat magar ye bhed abhī tak khul na sakā
kyoñ rog lagā kar ulfat kā maġhmūm javānī hotī hai
us raah meñ ye arbāb-e-havas saath ahl-e-vafā kā kyā dete
jis raah meñ sirf armān nahīñ hastī bhī miTānī hotī hai
mai-ḳhāna-e-ulfat kī bāteñ nā-ahl-e-mohabbat kyā jāneñ
matvālī nazar kī gardish bhī dilchasp kahānī hotī hai
'navvāb' vo chāhe husn kī ho daulat hai bahar-sūrat daulat
daulat ko jahāñ meñ qiyām kahāñ ye aanī jaanī hotī hai
ek huk si dil mein uThti hai aur ashk-fishani hoti hai
yaad un ki satane aati hai jab raat suhani hoti hai
ye sozish-e-gham ye dard-o-alam inam-e-mohabbat kya kahiye
ek dagh hi par mauquf hai kya har chiz nishani hoti hai
lahraata rahe gar shoala-e-gham to husn ka daman bach na sake
aadab-e-mohabbat ki KHatir ye aag bhi pani hoti hai
thi samne hi ki baat magar ye bhed abhi tak khul na saka
kyon rog laga kar ulfat ka maghmum jawani hoti hai
us rah mein ye arbab-e-hawas sath ahl-e-wafa ka kya dete
jis rah mein sirf arman nahin hasti bhi miTani hoti hai
mai-KHana-e-ulfat ki baaten na-ahl-e-mohabbat kya jaanen
matwali nazar ki gardish bhi dilchasp kahani hoti hai
'nawwab' wo chahe husn ki ho daulat hai bahar-surat daulat
daulat ko jahan mein qiyam kahan ye aani jaani hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.