Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek huk si jab dil mein uTThi jazbaat hamare aa pahunche

B S Jain Jauhar

ek huk si jab dil mein uTThi jazbaat hamare aa pahunche

B S Jain Jauhar

MORE BYB S Jain Jauhar

    ik huuk jab dil meñ uTThī jazbāt hamāre aa pahuñche

    alfāz jo zehn meñ mauzūñ the hoñToñ ke kināre aa pahuñche

    hālāt ġham-e-dil kah na sake aur dard-e-darūñ bhī sah na sake

    aañsū jo hisār-e-chashm meñ the palkoñ ke sahāre aa pahuñche

    mañjhdār meñ the aur Dar ye thā ki Duub jā.eñge ab ham

    maujoñ meñ jo lahrā.ī kashtī tinkoñ ke sahāre aa pahuñche

    ham josh-e-javānī meñ aa kar ik lā-mahdūd safar meñ the

    ma.alūm huā manzil ye na thī jab ghaaT kināre aa pahuñche

    ik umr guzārī thī ham ne mazlūmoñ himāyat meñ

    jab gosha-nashīnī Thānī phir zulm ke maare aa pahuñche

    bachpan meñ bahut dukh hotā thā mazlūm āh-o-zārī par

    hote javāñ bahlāne ko duniyā ke nazāre aa pahuñche

    duniyā ke havādis ne itnā pāmāl kiyā ham ko 'jauhar'

    bachne koī ummīd na thī qismat ke sitāre aa pahuñche

    ek huk si jab dil mein uTThi jazbaat hamare aa pahunche

    alfaz jo zehn mein mauzun the honTon ke kinare aa pahunche

    haalat gham-e-dil kah na sake aur dard-e-darun bhi sah na sake

    aansu jo hisar-e-chashm mein the palkon ke sahaare aa pahunche

    manjhdar mein the aur Dar ye tha ki Dub hi jaenge ab hum

    maujon mein jo lahrai kashti tinkon ke sahaare aa pahunche

    hum josh-e-jawani mein aa kar ek la-mahdud safar mein the

    malum hua manzil ye na thi jab ghaT kinare aa pahunche

    ek umr guzari thi hum ne mazlumon ki hi himayat mein

    jab gosha-nashini ki Thani phir zulm ke mare aa pahunche

    bachpan mein bahut dukh hota tha mazlum ki aah-o-zari par

    hote hi jawan bahlane ko duniya ke nazare aa pahunche

    duniya ke hawadis ne itna pamal kiya hum ko 'jauhar'

    bachne ki koi ummid na thi qismat ke sitare aa pahunche

    Source :
    • Book : Mujalla Dastavez (Pg. 415)
    • Author : Aziz Nabeel
    • Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
    • Edition : 2013-14
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now