Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek ik kar ke ho gae ruKHsat ab koi arman nahin

Jafar Abbas

ek ik kar ke ho gae ruKHsat ab koi arman nahin

Jafar Abbas

MORE BYJafar Abbas

    ik ik kar ke ho ga.e ruḳhsat ab koī armān nahīñ

    dil meñ gahrā sannāTā hai ab koī mehmān nahīñ

    tum ne bhī sun rakkhā hogā ham bhī sunte aa.e haiñ

    jis ke dil meñ dard na ho vo patthar hai insān nahīñ

    dard kaḌā ho to bhī aksar patthar ban jaate haiñ log

    marne ummīd nahīñ hai jiine sāmān nahīñ

    kuchh mat bolo chup ho jaao bātoñ meñ kyā rakkhā hai

    kyuuñ karte ho aisī bāteñ jin bātoñ meñ jaan nahīñ

    auroñ jaisī bāteñ mujh ko bhī karnī paḌtī haiñ roz

    ye to merī majbūrī hai ye merī pahchān nahīñ

    merī bāteñ sīdhī sachchī un meñ koī pech nahīñ

    in ko 'mīr' ġhazleñ jaano 'ġhālib' dīvān nahīñ

    dil ko bahlāne ḳhātir ham bhī kyā kyā karte haiñ

    ḳhuub samajhtā hai vo bhī sab aisā bhī nādān nahīñ

    raat ga.e aksar yuuñ kyuuñ phuuT phuuT kar rote ho

    ḳhaak tale sone vāloñ se milne imkān nahīñ

    vo thā mere dukh sāthī aur tumheñ kyā batlā.eñ

    us merā jo rishta thā us rishte naam nahīñ

    vo hotā to phir bhī shāyad dard pe kuchh qaabū rahtā

    tanhā.ī se tanhā laḌnā kuchh aisā āsān nahīñ

    ek ek kar ke ho gae ruKHsat ab koi arman nahin

    dil mein gahra sannaTa hai ab koi mehman nahin

    tum ne bhi sun rakkha hoga hum bhi sunte aae hain

    jis ke dil mein dard na ho wo patthar hai insan nahin

    dard kaDa ho to bhi aksar patthar ban jate hain log

    marne ki ummid nahin hai jine ka saman nahin

    kuchh mat bolo chup ho jao baaton mein kya rakkha hai

    kyun karte ho aisi baaten jin baaton mein jaan nahin

    auron jaisi baaten mujh ko bhi karni paDti hain roz

    ye to meri majburi hai ye meri pahchan nahin

    meri baaten sidhi sachchi un mein koi pech nahin

    in ko 'mir' ki ghazlen jaano 'ghaalib' ka diwan nahin

    dil ko bahlane ki KHatir hum bhi kya kya karte hain

    KHub samajhta hai wo bhi sab aisa bhi nadan nahin

    raat gae aksar yun hi kyun phuT phuT kar rote ho

    KHak tale sone walon se milne ka imkan nahin

    wo tha mere dukh ka sathi aur tumhein kya batlaen

    us ka mera jo rishta tha us rishte ka nam nahin

    wo hota to phir bhi shayad dard pe kuchh qabu rahta

    tanhai se tanha laDna kuchh aisa aasan nahin

    Source :
    • Book : Dawat-e-Sang (Pg. 67)
    • Author : Jafar Abbas
    • Publication : Guftagu Publications (2017)
    • Edition : 2017
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now