ek infial ko taqat samajh rahe ho tum
ik infi.āl ko tāqat samajh rahe ho tum
savāl ye hai ki kis tarah sochte ho tum
bahār aag na degī tumhāre chūlhoñ ko
ye aur baat ki is se bahal ga.e ho tum
dayār-e-vaham-o-gumāñ meñ na ab haram hai na dair
ujḌī chukī hai vo bastī jidhar chale ho tum
diyā na ishq ne jab kuchh to aql kyā degī
ab is se māñgte ho chain bāvle ho tum
jabīn-e-shauq ko apnī kahāñ jhukānā thā
kahāñ jhukī hai zarūrat kahāñ jhuke ho tum
pasand aa.egī kyuuñ apne des kī koī chiiz
bidesiyoñ ke nivāle pe jī rahe ho tum
na mil sakā jise īñdhan jalegī aag vo kyā
dil-e-'jamīl' ko nāhaq kuredte ho tum
ek infial ko taqat samajh rahe ho tum
sawal ye hai ki kis tarah sochte ho tum
bahaar aag na degi tumhaare chulhon ko
ye aur baat ki is se bahal gae ho tum
dayar-e-waham-o-guman mein na ab haram hai na dair
ujDi chuki hai wo basti jidhar chale ho tum
diya na ishq ne jab kuchh to aql kya degi
ab is se mangte ho chain bawle ho tum
jabin-e-shauq ko apni kahan jhukana tha
kahan jhuki hai zarurat kahan jhuke ho tum
pasand aaegi kyun apne des ki koi chiz
bidesiyon ke niwale pe ji rahe ho tum
na mil saka jise indhan jalegi aag wo kya
dil-e-'jamil' ko nahaq kuredte ho tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.