ek ishq hai ki jis ki gali ja raha hun main
ik ishq hai ki jis kī galī jā rahā huuñ maiñ
aur dil kī dhaḌkanoñ se bhī ghabrā rahā huuñ maiñ
kar degā vo muaaf mire har gunāh ko
ye soch kar gunāh kiye jā rahā huuñ maiñ
chhoḌā kahīñ kā mujh ko na duniyā ke dard ne
phir bhī tirā karam ki jiye jā rahā huuñ maiñ
rāh-e-vafā meñ miT ga.e jab fāsle sabhī
phir kyuuñ nigāh-e-yār se sharmā rahā huuñ maiñ
phir ho rahī haiñ pyaar kī sab hasrateñ javāñ
phir dil usī kī yaad se bahlā rahā huuñ maiñ
ik din chukā hī dūñgā zamāne kā bhī hisāb
kuchh baat hai jo zabt kiye jā rahā huuñ maiñ
ulfat kī raah par tujhe mil jā.egā ḳhudā
is be-qarār dil ko ye samjhā rahā huuñ maiñ
vo shoḳh ik nigāh meñ sab saaf kah gayā
muddat se jis ko kahne se katrā rahā huuñ maiñ
'āzim' yaqīñ nahīñ use kyuuñ merī baat par
kyā kam hai ye ki us kī qasam khā rahā huuñ maiñ
ek ishq hai ki jis ki gali ja raha hun main
aur dil ki dhaDkanon se bhi ghabra raha hun main
kar dega wo muaf mere har gunah ko
ye soch kar gunah kiye ja raha hun main
chhoDa kahin ka mujh ko na duniya ke dard ne
phir bhi tera karam ki jiye ja raha hun main
rah-e-wafa mein miT gae jab fasle sabhi
phir kyun nigah-e-yar se sharma raha hun main
phir ho rahi hain pyar ki sab hasraten jawan
phir dil usi ki yaad se bahla raha hun main
ek din chuka hi dunga zamane ka bhi hisab
kuchh baat hai jo zabt kiye ja raha hun main
ulfat ki rah par tujhe mil jaega KHuda
is be-qarar dil ko ye samjha raha hun main
wo shoKH ek nigah mein sab saf kah gaya
muddat se jis ko kahne se katra raha hun main
'azim' yaqin nahin use kyun meri baat par
kya kam hai ye ki us ki qasam kha raha hun main
- Book : Aaghaz (Pg. 72)
- Author : Aazim Gurvinder Singh Kohli
- Publication : Aazim Gurvinder Singh Kohli, 3/78 Punjabi Bagh,New Delhi-110026 (january 1998)
- Edition : january 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.