ek ishq-nagar se yahan ek shahr-e-hasin ka
ik ishq-nagar se yahāñ ik shahr-e-hasīñ kā
ik āsmāñ se aur huā ek zamīñ kā
kāfir huuñ ziyāñ kā jo maiñ sochā bhī kabhī ho
ik daaġh hī kaafī hai mujhe merī jabīñ kā
ik baar ḳhirad le ga.ī thī us kī galī meñ
phir hosh gayā merā rahā ho ke vahīñ kā
hākim ko faqat hukm lagāne se ġharaz hai
sochā hī kahāñ us ne mirī haañ yā nahīñ kā
ham log kisī taur safar kaaT hī lete
chhāloñ ne magar paañv ke rakkhā na kahīñ kā
ek ishq-nagar se yahan ek shahr-e-hasin ka
ek aasman se aur hua ek zamin ka
kafir hun ziyan ka jo main socha bhi kabhi ho
ek dagh hi kafi hai mujhe meri jabin ka
ek bar KHirad le gai thi us ki gali mein
phir hosh gaya mera raha ho ke wahin ka
hakim ko faqat hukm lagane se gharaz hai
socha hi kahan us ne meri han ya nahin ka
hum log kisi taur safar kaT hi lete
chhaalon ne magar panw ke rakkha na kahin ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.