ek ishq tha jo humse dobara nahin hua
ik ishq thā jo ham se dobāra nahīñ huā
kyā kyā vagarna dil ko ḳhasāra nahīñ huā
ik lafz jis ke ijz meñ iz.hār-e-dam-ba-ḳhud
ik naam merī aañkh kā taara nahīñ huā
vo ḳhvāb ban ke aañkh se phūTā to hai magar
ik ashk ban gayā hai sharāra nahīñ huā
ham kūza-gar ke haath meñ bhī juḌ nahīñ sake
is bhur-bhurī sī ḳhaak kā gaarā nahīñ huā
ḳhud-e'timād shaḳhs thā be-e'timād bhī
apnā na ban sakā to hamārā nahīñ huā
shorīdgī ke ārize tak aa gayā 'farah'
ik bojh jo ki dil se utārā nahīñ huā
ek ishq tha jo hum se dobara nahin hua
kya kya wagarna dil ko KHasara nahin hua
ek lafz jis ke ijz mein izhaar-e-dam-ba-KHud
ek nam meri aankh ka tara nahin hua
wo KHwab ban ke aankh se phuTa to hai magar
ek ashk ban gaya hai sharara nahin hua
hum kuza-gar ke hath mein bhi juD nahin sake
is bhur-bhuri si KHak ka gara nahin hua
KHud-e'timad shaKHs tha be-e'timad bhi
apna na ban saka to hamara nahin hua
shoridgi ke aarize tak aa gaya 'farah'
ek bojh jo ki dil se utara nahin hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.