ek isi baat pe phule na samae hum bhi
ik isī baat pe phūle na samā.e ham bhī
shukr sad shukr tumheñ yaad to aa.e ham bhī
mehrbāñ vo tire lahje se barastā sāvan
jis kī rim-jhim meñ baḌī der nahā.e ham bhī
log hairān haiñ kyuuñ dekh ke tum ko āḳhir
is tajassus meñ tumheñ dekhne aa.e ham bhī
muft ke mashvare ye tum bhī sambhālo apne
apnī mahfūz rakheñ qīmtī raa.e ham bhī
go bahut gahre haiñ DhūñDoge to mil jā.eñge
ho chuke 'sā.ima' ab shaam ke saa.e ham bhī
ek isi baat pe phule na samae hum bhi
shukr sad shukr tumhein yaad to aae hum bhi
mehrban wo tere lahje se barasta sawan
jis ki rim-jhim mein baDi der nahae hum bhi
log hairan hain kyun dekh ke tum ko aaKHir
is tajassus mein tumhein dekhne aae hum bhi
muft ke mashware ye tum bhi sambhaalo apne
apni mahfuz rakhen qimti rae hum bhi
go bahut gahre hain DhunDoge to mil jaenge
ho chuke 'saima' ab sham ke sae hum bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.