ek jabr-e-mustaqil hai musalsal azab hai
ik jabr-e-mustaqil hai musalsal azaab hai
kahne ko zindagī pe ġhazab kā shabāb hai
pūchhā kisī ne haal to dīvāna ro diyā
kitnā hasīn kitnā mukammal javāb hai
kyoñ talḳhī-e-hayāt kā ehsās ho chalā
yaaro abhī to raqs meñ jām-e-sharāb hai
is ahd-e-irtiqā meñ haqīqat ke daur meñ
insān kā vajūd abhī tak sarāb hai
pā.egī kyā faroġh shab-e-tār-e-zindagī
pinhāñ har ek zarre meñ ik āftāb hai
'tālib' ye ek lamha-e-ishrat kī hai sazā
muddat se dil rahīn-e-ġham-e-be-hisāb hai
ek jabr-e-mustaqil hai musalsal azab hai
kahne ko zindagi pe ghazab ka shabab hai
puchha kisi ne haal to diwana ro diya
kitna hasin kitna mukammal jawab hai
kyon talKHi-e-hayat ka ehsas ho chala
yaro abhi to raqs mein jam-e-sharab hai
is ahd-e-irtiqa mein haqiqat ke daur mein
insan ka wajud abhi tak sarab hai
paegi kya farogh shab-e-tar-e-zindagi
pinhan har ek zarre mein ek aaftab hai
'talib' ye ek lamha-e-ishrat ki hai saza
muddat se dil rahin-e-gham-e-be-hisab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.