ek jafa-kar ko dil-dar samajh baiThe the
ik jafā-kār ko dil-dār samajh baiThe the
dushman-e-jāñ thā jise yaar samajh baiThe the
jis sitamgar ne mujhe apnā nahīñ samjhā thā
us ko merā sabhī aġhyār samajh baiThe the
hijr kī raat kaTī chāñd ko takte takte
chāñd ko yaar kā ruḳhsār samajh baiThe the
muddatoñ baa'd kiyā us ne mohabbat ko qubūl
ham to tāḳhīr ko inkār samajh baiThe the
vasl kī sub.h the ham 'ālam-e-mad.hoshī meñ
duniyā vaale hameñ mai-ḳhvār samajh baiThe the
pīr-o-mullā ne tire ghar ko hai mil kar luuTā
jubba dastār ko kirdār samajh baiThe the
hashr ke roz thā ā'māl se daftar ḳhālī
ziist ko dirham-o-dīnār samajh baiThe the
ābla-pā.ī milī dasht-e-mohabbat meñ 'sahāb'
rāh-e-pur-ḳhār ko gulzār samajh baiThe the
daad kyā miltī unheñ bazm-e-suḳhan meñ ai 'sahāb'
uljhe afkār ko ash'ār samajh baiThe the
ek jafa-kar ko dil-dar samajh baiThe the
dushman-e-jaan tha jise yar samajh baiThe the
jis sitamgar ne mujhe apna nahin samjha tha
us ko mera sabhi aghyar samajh baiThe the
hijr ki raat kaTi chand ko takte takte
chand ko yar ka ruKHsar samajh baiThe the
muddaton ba'd kiya us ne mohabbat ko qubul
hum to taKHir ko inkar samajh baiThe the
wasl ki subh the hum 'alam-e-madhoshi mein
duniya wale hamein mai-KHwar samajh baiThe the
pir-o-mulla ne tere ghar ko hai mil kar luTa
jubba dastar ko kirdar samajh baiThe the
hashr ke roz tha aa'mal se daftar KHali
zist ko dirham-o-dinar samajh baiThe the
aabla-pai mili dasht-e-mohabbat mein 'sahab'
rah-e-pur-KHar ko gulzar samajh baiThe the
dad kya milti unhen bazm-e-suKHan mein ai 'sahab'
uljhe afkar ko ash'ar samajh baiThe the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.