ek jafa-kar ne hasti se guzarne na diya
ik jafā-kār ne hastī se guzarne na diyā
vaa.e hasrat mujhe ro ro ke bhī marne na diyā
ho gayā ḳhatm mirā qissa-e-ġham aah ke saath
ik sahārā bhī koī bāni-e-shar ne na diyā
maiñ shab-e-dard milā kartā thā jis jā un se
phir kabhī saath usī rāh-guzar ne na diyā
kaaT dī raat taḌap kar jo marīz-e-ġham ne
aasrā us ko bhī ummīd-e-sahar ne na diyā
ai 'razā' shūmī-e-qismat kā gila kis se kareñ
jalva kab duur rahā saath nazar ne na diyā
ek jafa-kar ne hasti se guzarne na diya
wae hasrat mujhe ro ro ke bhi marne na diya
ho gaya KHatm mera qissa-e-gham aah ke sath
ek sahaara bhi koi bani-e-shar ne na diya
main shab-e-dard mila karta tha jis ja un se
phir kabhi sath usi rah-guzar ne na diya
kaT di raat taDap kar jo mariz-e-gham ne
aasra us ko bhi ummid-e-sahar ne na diya
ai 'raza' shumi-e-qismat ka gila kis se karen
jalwa kab dur raha sath nazar ne na diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.