ek jalwa-e-naz par miTa hun
ik jalva-e-nāz par miTā huuñ
maiñ dīda-e-hairat āshnā huuñ
yaktā.ī tirī miTā rahī hai
goyā ki maiñ naqsh-e-mā-sivā huuñ
jalve haiñ ḳhudī ke yaañ nazar meñ
ye aa.ina maiñ bhī dekhtā huuñ
maiḳhāne meñ tark-e-mai kā hai dhyān
ai shaiḳh maiñ rind-e-pārsā huuñ
kyoñ mujh ko miTā rahī hai ai yaas
kyā maiñ koī naqsh-e-mudda.ā huuñ
hastī ne judā kiyā hai tujh se
huuñ naqsh-e-qadam ki rah gayā huuñ
ḳhurshīd nihāñ hai gar ziyā meñ
maiñ jalva-e-yār meñ chhupā huuñ
ek jalwa-e-naz par miTa hun
main dida-e-hairat aashna hun
yaktai teri miTa rahi hai
goya ki main naqsh-e-ma-siwa hun
jalwe hain KHudi ke yan nazar mein
ye aaina main bhi dekhta hun
maiKHane mein tark-e-mai ka hai dhyan
ai shaiKH main rind-e-parsa hun
kyon mujh ko miTa rahi hai ai yas
kya main koi naqsh-e-muddaa hun
hasti ne juda kiya hai tujh se
hun naqsh-e-qadam ki rah gaya hun
KHurshid nihan hai gar ziya mein
main jalwa-e-yar mein chhupa hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.