ek jhalak pane ka har shaKHs tamannai hai
ik jhalak paane kā har shaḳhs tamannā.ī hai
dil-nashīñ ḳhuub tirā jalva-e-zebā.ī hai
bas yahī soch ke maiñ kartā nahīñ terā gila
terī rusvā.ī meñ shāmil mirī rusvā.ī hai
jab bhī rotā huuñ akele meñ sukūñ paatā huuñ
merā ġham bāñTne vaalī mirī tanhā.ī hai
log duniyā kī taraf bhaag rahe haiñ lekin
un ko ma.alūm nahīñ hai ki vo harjā.ī hai
ek jhalak pane ka har shaKHs tamannai hai
dil-nashin KHub tera jalwa-e-zebai hai
bas yahi soch ke main karta nahin tera gila
teri ruswai mein shamil meri ruswai hai
jab bhi rota hun akele mein sukun pata hun
mera gham banTne wali meri tanhai hai
log duniya ki taraf bhag rahe hain lekin
un ko malum nahin hai ki wo harjai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.