ek jism hain ki sar se juda hone wale hain
ek jism hain ki sar se juda hone wale hain
Ahmad Sagheer Siddiqui
MORE BYAhmad Sagheer Siddiqui
ik jism haiñ ki sar se judā hone vaale haiñ
ham bhī zabāñ se apnī adā hone vaale haiñ
tārīf ho rahī hai abhī thoḌī der ba.ad
ḳhush hone vaale saare ḳhafā hone vaale haiñ
sunte haiñ vo anār-kalī khilne vaalī hai
kahiye ki ham bhī mauj-e-sabā hone vaale haiñ
qurbat meñ us kī aur hī kuchh hone vaale the
is se bichhaḌ ke dekhiye kyā hone vaale haiñ
mantar kī tarah us ko paḌhe jā rahe haiñ ham
ik din tilism-e-hosh-rubā hone vaale haiñ
ek jism hain ki sar se juda hone wale hain
hum bhi zaban se apni ada hone wale hain
tarif ho rahi hai abhi thoDi der baad
KHush hone wale sare KHafa hone wale hain
sunte hain wo anar-kali khilne wali hai
kahiye ki hum bhi mauj-e-saba hone wale hain
qurbat mein us ki aur hi kuchh hone wale the
is se bichhaD ke dekhiye kya hone wale hain
mantar ki tarah us ko paDhe ja rahe hain hum
ek din tilism-e-hosh-ruba hone wale hain
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 610)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
- Edition : Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.