ek jism rang-rang ghazal-KHwan hai aaj-kal
ik jism rang-rang ġhazal-ḳhvāñ hai āj-kal
phir aql dil ke tāba-e-farmāñ hai āj-kal
apnī taraf bhī mo'tariz-e-ḳhud-pasand dekh
ham par to ḳhair sāya-e-isyāñ hai āj-kal
ik baat jis ko rabt-e-mohabbat na kah sakeñ
hāthoñ meñ apne dāman-e-jānāñ hai āj-kal
us paikar-e-jamāl kī qurbat se mil ga.ī
vo ik ḳhalish ki dil kī nigahbāñ hai āj-kal
fatvā diyā hai muftī-e-shorish-nazhād ne
'saifī' kā zehn kufr-ba-dāmāñ hai āj-kal
ek jism rang-rang ghazal-KHwan hai aaj-kal
phir aql dil ke taba-e-farman hai aaj-kal
apni taraf bhi mo'tariz-e-KHud-pasand dekh
hum par to KHair saya-e-isyan hai aaj-kal
ek baat jis ko rabt-e-mohabbat na kah saken
hathon mein apne daman-e-jaanan hai aaj-kal
us paikar-e-jamal ki qurbat se mil gai
wo ek KHalish ki dil ki nigahban hai aaj-kal
fatwa diya hai mufti-e-shorish-nazhad ne
'saifi' ka zehn kufr-ba-daman hai aaj-kal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.