ek junun be-misal chahta hun
ik junūñ be-misāl chāhtā huuñ
bas tumhārā ḳhayāl chāhtā huuñ
be-irāda jo tū ne baḳhshī thī
vo ḳhushī phir bahāl chāhtā huuñ
muztarib ho ga.e haiñ zaḳhm-e-jigar
ik sukūñ lā-zavāl chāhtā huuñ
bas dukhī dil kā ye mudāvā hai
lamha lamha visāl chāhtā huuñ
daur-e-māzī meñ le chalo mujh ko
phir vahī māh-o-sāl chāhtā huuñ
surḳh-rūī ke vāste 'mohsin'
ik hunar bā-kamāl chāhtā huuñ
ek junun be-misal chahta hun
bas tumhaara KHayal chahta hun
be-irada jo tu ne baKHshi thi
wo KHushi phir bahaal chahta hun
muztarib ho gae hain zaKHm-e-jigar
ek sukun la-zawal chahta hun
bas dukhi dil ka ye mudawa hai
lamha lamha visal chahta hun
daur-e-mazi mein le chalo mujh ko
phir wahi mah-o-sal chahta hun
surKH-rui ke waste 'mohsin'
ek hunar ba-kamal chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.