ek jurm-e-mohabbat ki kya aur saza hogi
ik jurm-e-mohabbat kī kyā aur sazā hogī
tanhā.ī ke ġham hoñge marne kī duā hogī
jab husn ke hāthoñ se takmīl-e-vafā hogī
vo sub.h bhī kyā hogī vo shaam bhī kyā hogī
jaa.e to kahāñ jaa.e ab chhoḌ ke rusvā.ī
is kī bhī guzar kaise ab mere sivā hogī
ik jashn-e-masarrat meñ kuchh Dūbtī āvāzeñ
TuuTe hue shīshoñ kī pur-dard sadā hogī
har aks giraftār-e-ā.īna hai ai 'afsar'
parchhā.īñ bhī insāñ kī ā.īna-numā hogī
ek jurm-e-mohabbat ki kya aur saza hogi
tanhai ke gham honge marne ki dua hogi
jab husn ke hathon se takmil-e-wafa hogi
wo subh bhi kya hogi wo sham bhi kya hogi
jae to kahan jae ab chhoD ke ruswai
is ki bhi guzar kaise ab mere siwa hogi
ek jashn-e-masarrat mein kuchh Dubti aawazen
TuTe hue shishon ki pur-dard sada hogi
har aks giraftar-e-aina hai ai 'afsar'
parchhain bhi insan ki aaina-numa hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.