ek kafir-e-maghrur dil-aram hai mera
ik kāfir-e-maġhrūr dil-ārām hai merā
kahte haiñ jise kufr vo islām hai merā
kāñToñ pe liTāyā jo mujhe merī ḳhatā kyā
Dar haq se ki kahlātā tū gulfām hai merā
aivāñ se mire taḳht uThā lījiye jaldī
miTTī hī meñ mil jaanā gar anjām hai merā
kaisī hai chamak mere siyah-ḳhāna-e-dil meñ
shāyad ki yahāñ bastā ḳhush-andām hai merā
maiñ taḌpūñ to ārām se baiThoge na tum bhī
'nāyāb' rahe yaad tumheñ naam hai merā
ek kafir-e-maghrur dil-aram hai mera
kahte hain jise kufr wo islam hai mera
kanTon pe liTaya jo mujhe meri KHata kya
Dar haq se ki kahlata tu gulfam hai mera
aiwan se mere taKHt uTha lijiye jaldi
miTTi hi mein mil jaana gar anjam hai mera
kaisi hai chamak mere siyah-KHana-e-dil mein
shayad ki yahan basta KHush-andam hai mera
main taDpun to aaram se baiThoge na tum bhi
'nayab' rahe yaad tumhein nam hai mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.