ek kahani jo sabhi ko wo sunata bhi nahin
ik kahānī jo sabhī ko vo sunātā bhī nahīñ
asl kirdār mire sāmne laatā bhī nahīñ
jaane lagtā huuñ to vo paañv pakaḌ letā hai
aur sitam ye hai ki siine se lagātā bhī nahīñ
le to aatā hai vo bāzār meñ har roz mujhe
par mirī ḳhūbiyāñ auroñ ko batātā bhī nahīñ
be-hunar kah ke pashemān to kartā hai magar
jaane kyā ramz hai jo mujh ko gañvātā bhī nahīñ
ek tasvīr se haTtī nahīñ āñkheñ merī
ek chehra hai mire sāmne aatā bhī nahīñ
mujh se ik ātish-e-vahshat kā dhuāñ uThtā hai
vo ki is sho’la-e-tābāñ ko bujhātā bhī nahīñ
zaḳhm aisā hai ki pāgal huā jaatā hai magar
apne hamrāh bahut der rulātā bhī nahīñ
ek kahani jo sabhi ko wo sunata bhi nahin
asl kirdar mere samne lata bhi nahin
jaane lagta hun to wo panw pakaD leta hai
aur sitam ye hai ki sine se lagata bhi nahin
le to aata hai wo bazar mein har roz mujhe
par meri KHubiyan auron ko batata bhi nahin
be-hunar kah ke pasheman to karta hai magar
jaane kya ramz hai jo mujh ko ganwata bhi nahin
ek taswir se haTti nahin aankhen meri
ek chehra hai mere samne aata bhi nahin
mujh se ek aatish-e-wahshat ka dhuan uThta hai
wo ki is sho’la-e-taban ko bujhata bhi nahin
zaKHm aisa hai ki pagal hua jata hai magar
apne hamrah bahut der rulata bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.