ek kahani ka iKHtitam hua
ik kahānī kā iḳhtitām huā
mas.ala ḳhair se tamām huā
us kī tāzīm jab bajā laa.e
dekhnā bhī use harām huā
ek terī gurez-pā.ī se
kaisī vahshat kā ehtimām huā
sab rivāyat ke ho ga.e munkir
ye chalan dekh dekh aam huā
jis ko zanjīr se mohabbat thī
ik anokhā yahāñ ġhulām huā
ek kahani ka iKHtitam hua
masala KHair se tamam hua
us ki tazim jab baja lae
dekhna bhi use haram hua
ek teri gurez-pai se
kaisi wahshat ka ehtimam hua
sab riwayat ke ho gae munkir
ye chalan dekh dekh aam hua
jis ko zanjir se mohabbat thi
ek anokha yahan ghulam hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.