ek kami hai jo khal rahi hai dost
ik kamī hai jo khal rahī hai dost
ḳhāmoshī jaañ meñ Dhal rahī hai dost
jab vo badlā to ye huā ehsās
merī duniyā badal rahī hai dost
thoḌī der aur baiTh mere paas
sun mirī jaañ nikal rahī hai dost
ḳhvāb aate haiñ lauT jaate haiñ
niiñd chhat par Tahal rahī hai dost
haa.e bas ek gul kī hasrat meñ
ruuh kāñTo pe chal rahī hai dost
ishq ke āḳhirī paḌāv meñ
zindagī merī pal rahī hai dost
maiñ bhī kitnā badal gayā dekho
tū bhī kitnā badal rahī hai dost
āñkheñ dariyāoñ sī bharī haiñ aur
niiñd palkoñ pe chal rahī hai dost
ab 'navāz' is tavīl raste kī
āḳhirī shaam Dhal rahī hai dost
ek kami hai jo khal rahi hai dost
KHamoshi jaan mein Dhal rahi hai dost
jab wo badla to ye hua ehsas
meri duniya badal rahi hai dost
thoDi der aur baiTh mere pas
sun meri jaan nikal rahi hai dost
KHwab aate hain lauT jate hain
nind chhat par Tahal rahi hai dost
hae bas ek gul ki hasrat mein
ruh kanTo pe chal rahi hai dost
ishq ke aaKHiri paDaw mein
zindagi meri pal rahi hai dost
main bhi kitna badal gaya dekho
tu bhi kitna badal rahi hai dost
aankhen dariyaon si bhari hain aur
nind palkon pe chal rahi hai dost
ab 'nawaz' is tawil raste ki
aaKHiri sham Dhal rahi hai dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.