ek karb-e-musalsal ki saza den to kise den
ik karb-e-musalsal kī sazā deñ to kise deñ
maqtal meñ haiñ jiine kī duā deñ to kise deñ
patthar haiñ sabhī log kareñ baat to kis se
is shahr-e-ḳhamoshāñ meñ sadā deñ to kise deñ
hai kaun ki jo ḳhud ko hī jaltā huā dekhe
sab haath haiñ kāġhaz ke diyā deñ to kise deñ
sab log savālī haiñ sabhī jism barahna
aur paas hai bas ek ridā deñ to kise deñ
jab haath hī kaT jaa.eñ to thāmegā bhalā kaun
ye soch rahe haiñ ki asā deñ to kise deñ
bāzār meñ ḳhushbū ke ḳharīdār kahāñ haiñ
ye phuul haiñ be-rañg batā deñ to kise deñ
chup rahne kī har shaḳhs qasam khaa.e hue hai
ham zahr bharā jaam bhalā deñ to kise deñ
ek karb-e-musalsal ki saza den to kise den
maqtal mein hain jine ki dua den to kise den
patthar hain sabhi log karen baat to kis se
is shahr-e-KHamoshan mein sada den to kise den
hai kaun ki jo KHud ko hi jalta hua dekhe
sab hath hain kaghaz ke diya den to kise den
sab log sawali hain sabhi jism barahna
aur pas hai bas ek rida den to kise den
jab hath hi kaT jaen to thamega bhala kaun
ye soch rahe hain ki asa den to kise den
bazar mein KHushbu ke KHaridar kahan hain
ye phul hain be-rang bata den to kise den
chup rahne ki har shaKHs qasam khae hue hai
hum zahr bhara jam bhala den to kise den
- Book : Muallim-e-urdu(Lucknow) (Pg. 34)
- Author : Izhar Ahmad
- Publication : Published by Izhar ahmad Editor,and publisher at the Shagufta printers Lucknow & Distributed simmam Publication 499/129 Hasanganj lucknow-226020 (February-1992)
- Edition : February-1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.