Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek karb se wo nawaz rakkhe

Mohammad Munzir Raza

ek karb se wo nawaz rakkhe

Mohammad Munzir Raza

MORE BYMohammad Munzir Raza

    ik karb se vo navāz rakkhe

    jag se mujhe be-niyāz rakkhe

    āmoḳhta-e-jamāl hai dil

    dar-shakl niyāz-e-nāz rakkhe

    har shaḳhs chashm dīdanī thī

    hāthoñ se jab us ne saaz rakkhe

    paañv ke tale raheñ shahāñ bhī

    suulī mujhe sarfarāz rakkhe

    har samt mukālimāt-e-bāzār

    kyoñ saath koī bayāz rakkhe

    kyā baaġh ki ho sarāb jis meñ

    kyā husn jo kuchh majāz rakkhe

    ḳhas the pe qadam meñ sarv ke the

    so kuchh to sabā lihāz rakkhe

    ḳhushbū meñ suḳhan kare hai vo gul

    kaise koī us raaz rakkhe

    ek karb se wo nawaz rakkhe

    jag se mujhe be-niyaz rakkhe

    aamoKHta-e-jamal hai dil

    dar-shakl niyaz-e-naz rakkhe

    har shaKHs ki chashm didani thi

    hathon se jab us ne saz rakkhe

    panw ke tale rahen shahan bhi

    suli mujhe sarfaraaz rakkhe

    har samt mukalimat-e-bazar

    kyon sath koi bayaz rakkhe

    kya bagh ki ho sarab jis mein

    kya husn jo kuchh majaz rakkhe

    KHas the pe qadam mein sarw ke the

    so kuchh to saba lihaz rakkhe

    KHushbu mein suKHan kare hai wo gul

    kaise koi us ka raaz rakkhe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now