ek KHak-zada chalne laga la-ilah ki samt
ik ḳhāk-zāda chalne lagā lā-ilāh kī samt
ya.anī ki gāmzan maiñ huā karbalā kī samt
mujh ko kisī tabīb se koī ġharaz nahīñ
bīmār paḌ ke aatā huuñ ḳhāk-e-shifā kī samt
jab muntazir the hur ke vahāñ par husain ḳhud
kaise fanā se aatā na phir hur baqā kī samt
karb-o-balā meñ jaatā huuñ āñkhoñ meñ nam liye
na.ara lagā ke jaatā huuñ mushkil-kushā kī samt
maulā tumhārā ġham bhī manāne ko ye malak
arsh-e-barīñ se aate haiñ farsh-e-azā kī samt
kaise bhalā na ro.eñ use dekh kar husain
ġhāzī sā sher bhaa.ī chalā alqamā kī samt
dekho ġhazal se martaba is kā buland hai
chhoḌo ġhazal ko aao 'sahar' marsiya kī samt
ek KHak-zada chalne laga la-ilah ki samt
yani ki gamzan main hua karbala ki samt
mujh ko kisi tabib se koi gharaz nahin
bimar paD ke aata hun KHak-e-shifa ki samt
jab muntazir the hur ke wahan par husain KHud
kaise fana se aata na phir hur baqa ki samt
karb-o-bala mein jata hun aankhon mein nam liye
nara laga ke jata hun mushkil-kusha ki samt
maula tumhaara gham bhi manane ko ye malak
arsh-e-barin se aate hain farsh-e-aza ki samt
kaise bhala na roen use dekh kar husain
ghazi sa sher bhai chala alqama ki samt
dekho ghazal se martaba is ka buland hai
chhoDo ghazal ko aao 'sahar' marsiya ki samt
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.