ek KHana-e-matam hi ye aalam to nahin hai
ik ḳhāna-e-mātam hī ye aalam to nahīñ hai
taqdīr-e-bashar nauha-e-paiham to nahīñ hai
naġhmāt-e-masarrat bhī haiñ lamhāt-e-tarab bhī
ye shām-e-alam virsa-e-ādam to nahīñ hai
ḳhushbū kā tabassum bhī hai rañgoñ kī hañsī bhī
gulshan meñ faqat girya-e-shabnam to nahīñ hai
kuchh aur bhī jazbe haiñ jo dildār haiñ dil ke
ik ġham hī dil-e-zār kā marham to nahīñ hai
ik sham.a añdheroñ meñ abhī tak hai farozāñ
go tez nahīñ raushnī maddham to nahīñ hai
ik chashma-e-tanvīr bhī phūTegā yahīñ se
māyūs shab-e-tār se 'akram' to nahīñ hai
ek KHana-e-matam hi ye aalam to nahin hai
taqdir-e-bashar nauha-e-paiham to nahin hai
naghmat-e-masarrat bhi hain lamhat-e-tarab bhi
ye sham-e-alam wirsa-e-adam to nahin hai
KHushbu ka tabassum bhi hai rangon ki hansi bhi
gulshan mein faqat girya-e-shabnam to nahin hai
kuchh aur bhi jazbe hain jo dildar hain dil ke
ek gham hi dil-e-zar ka marham to nahin hai
ek shama andheron mein abhi tak hai farozan
go tez nahin raushni maddham to nahin hai
ek chashma-e-tanwir bhi phuTega yahin se
mayus shab-e-tar se 'akram' to nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.