ek KHanuman-KHarab ki daulat kahen jise
ik ḳhānumāñ-ḳharāb kī daulat kaheñ jise
vo dard dil meñ hai ki mohabbat kaheñ jise
rānā.ī-e-ḳhayāl ke qurbān jā.iye
sūrat hai vo nazar meñ haqīqat kaheñ jise
dard-e-firāq-e-yār kī majbūriyāñ bajā
itnā to ho na shor qayāmat kaheñ jise
de saktā ho to de mujhe dād-e-sitam-kushī
yā vo sulūk kar ki adāvat kaheñ jise
lazzat-kash-e-nazāra hai terī nazar to kyā
itnī to be-ḳhudī ho ki hairat kaheñ jise
baaqī kahāñ se 'rāz' zamāne meñ āj-kal
vo husn-e-dil-navāz mohabbat kaheñ jise
ek KHanuman-KHarab ki daulat kahen jise
wo dard dil mein hai ki mohabbat kahen jise
ranai-e-KHayal ke qurban jaiye
surat hai wo nazar mein haqiqat kahen jise
dard-e-firaq-e-yar ki majburiyan baja
itna to ho na shor qayamat kahen jise
de sakta ho to de mujhe dad-e-sitam-kushi
ya wo suluk kar ki adawat kahen jise
lazzat-kash-e-nazara hai teri nazar to kya
itni to be-KHudi ho ki hairat kahen jise
baqi kahan se 'raaz' zamane mein aaj-kal
wo husn-e-dil-nawaz mohabbat kahen jise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.