ek KHudi be-KHudi ke andar hai
ik ḳhudī be-ḳhudī ke andar hai
raaz ḳhud raaz hī ke andar hai
ik qayāmat koī qayāmat sī
zer-e-lab ḳhāmushī ke andar hai
ek ik qatra girya-e-shabnam
phuul jaisī hañsī ke andar hai
hañs paḌe ham to ro paḌīñ āñkheñ
ġham bhī shāyad ḳhushī ke andar hai
din Dhalegā to raat aa.egī
tīrgī raushnī ke andar hai
husn-ārā.iyāñ bajā lekin
dilkashī sādgī ke andar hai
na.ara-e-inqalāb ai 'anvar'
aaj bhī shā.irī ke andar hai
ek KHudi be-KHudi ke andar hai
raaz KHud raaz hi ke andar hai
ek qayamat koi qayamat si
zer-e-lab KHamushi ke andar hai
ek ek qatra girya-e-shabnam
phul jaisi hansi ke andar hai
hans paDe hum to ro paDin aankhen
gham bhi shayad KHushi ke andar hai
din Dhalega to raat aaegi
tirgi raushni ke andar hai
husn-araiyan baja lekin
dilkashi sadgi ke andar hai
nara-e-inqalab ai 'anwar'
aaj bhi shairi ke andar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.