ek KHwab hai ye pyas bhi dariya bhi KHwab hai
ek KHwab hai ye pyas bhi dariya bhi KHwab hai
Ahmad Sagheer Siddiqui
MORE BYAhmad Sagheer Siddiqui
ik ḳhvāb hai ye pyaas bhī dariyā bhī ḳhvāb hai
hai ḳhvāb tū bhī terī tamannā bhī ḳhvāb hai
ye iltizām-e-dīda-e-ḳhush-ḳhvāb bhī hai ḳhvāb
rañg-e-bahār qāmat-e-zebā bhī ḳhvāb hai
vo manzileñ bhī ḳhvāb haiñ āñkheñ haiñ jin se chuur
haañ ye safar bhī ḳhvāb hai rasta bhī ḳhvāb hai
ye rif.ateñ bhī ḳhvāb haiñ ye āsmāñ bhī ḳhvāb
parvāz bhī hai ḳhvāb parinda bhī ḳhvāb hai
haiñ apnī vahshateñ bhī bas ik ḳhvāb kā tilism
yaaro fusūn-e-vus.at-e-sahrā bhī ḳhvāb hai
ek KHwab hai ye pyas bhi dariya bhi KHwab hai
hai KHwab tu bhi teri tamanna bhi KHwab hai
ye iltizam-e-dida-e-KHush-KHwab bhi hai KHwab
rang-e-bahaar qamat-e-zeba bhi KHwab hai
wo manzilen bhi KHwab hain aankhen hain jin se chur
han ye safar bhi KHwab hai rasta bhi KHwab hai
ye rifaten bhi KHwab hain ye aasman bhi KHwab
parwaz bhi hai KHwab parinda bhi KHwab hai
hain apni wahshaten bhi bas ek KHwab ka tilism
yaro fusun-e-wusat-e-sahra bhi KHwab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.