ek KHwab mujassam hone se viran hua
ik ḳhvāb mujassam hone se vīrān huā
ik jugnū haath meñ aaya to be-jān huā
ik peḌ pe aa.e phal to parinde mil baiThe
ik shaḳhs kā bachpan biitā to anjān huā
ik dekhne vaalā dekh chukā jab āñkhoñ meñ
phir dil meñ an-dekhe kā Dar mehmān huā
vo ek safar ījād kā thā yā hijrat thī
jo rasta shahr se niklā ik maidān huā
maiñ raakh huā to sog kī koī baat nahīñ
is ḳhaak pe mere vasl kā din āsān huā
kuchh paudoñ tak ik din bhī dhuup na aa.ī thī
ik peḌ ke kaTne se jangal gunjān huā
ik ḳhvāb se jaise sau tā'bīreñ niklī hoñ
ik chehra kitne chehroñ kī pahchān huā
ek KHwab mujassam hone se viran hua
ek jugnu hath mein aaya to be-jaan hua
ek peD pe aae phal to parinde mil baiThe
ek shaKHs ka bachpan bita to anjaan hua
ek dekhne wala dekh chuka jab aankhon mein
phir dil mein an-dekhe ka Dar mehman hua
wo ek safar ijad ka tha ya hijrat thi
jo rasta shahr se nikla ek maidan hua
main rakh hua to sog ki koi baat nahin
is KHak pe mere wasl ka din aasan hua
kuchh paudon tak ek din bhi dhup na aai thi
ek peD ke kaTne se jangal gunjaan hua
ek KHwab se jaise sau ta'biren nikli hon
ek chehra kitne chehron ki pahchan hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.