ek lafz aa gaya tha ghazal mein libas ka
ik lafz aa gayā thā ġhazal meñ libās kā
kāġhaz pe phuul khilne lagā thā kapās kā
ik naav bahtī jaatī thī dariyā meñ aur koī
nazzāra kartā jaatā thā sāhil pe ghaas kā
tabdīl ho rahe the daraḳhtoñ ke ḳhadd-o-ḳhāl
mausam guzartā jaatā thā hosh-o-havās kā
chādar bichhā ke chāñdnī kī baaġh meñ koī
andāza kar rahā thā phaloñ kī miThās kā
aa.ī nahīñ giraft meñ vo sabz rut magar
ik rang rah gayā thā hathelī pe baas kā
ek lafz aa gaya tha ghazal mein libas ka
kaghaz pe phul khilne laga tha kapas ka
ek naw bahti jati thi dariya mein aur koi
nazzara karta jata tha sahil pe ghas ka
tabdil ho rahe the daraKHton ke KHadd-o-KHal
mausam guzarta jata tha hosh-o-hawas ka
chadar bichha ke chandni ki bagh mein koi
andaza kar raha tha phalon ki miThas ka
aai nahin giraft mein wo sabz rut magar
ek rang rah gaya tha hatheli pe bas ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.