ek lahr mili apne bahao se nikal kar
ik lahr milī apne bahāo se nikal kar
chūmā hai use maiñ ne bhī naav se nikal kar
maiñ sochtā huuñ zaḳhm agar bhar gayā dil kā
ye dard kahāñ jā.egā ghaav se nikal kar
bārānī ilāqoñ kī tarah āñkhoñ kī aadat
ham jaa.eñ kahāñ apne kaTāo se nikal kar
maiñ dekhtā huuñ is liye aflāk kī jānib
kitnā safar hai arzī paḌāv se nikal kar
raushan haiñ tire shola-e-sad-rang meñ varna
ham kab ke bujhe hote alaav se nikal kar
ek lahr mili apne bahao se nikal kar
chuma hai use main ne bhi naw se nikal kar
main sochta hun zaKHm agar bhar gaya dil ka
ye dard kahan jaega ghaw se nikal kar
barani ilaqon ki tarah aankhon ki aadat
hum jaen kahan apne kaTao se nikal kar
main dekhta hun is liye aflak ki jaanib
kitna safar hai arzi paDaw se nikal kar
raushan hain tere shola-e-sad-rang mein warna
hum kab ke bujhe hote alaw se nikal kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.