ek lahr si dekhi gai pae na gae hum
ik lahr sī dekhī ga.ī paa.e na ga.e ham
hālāñki yahīñ the kahīñ aa.e na ga.e ham
girdāb meñ kyā hai jise tūfān miTā.e
haañ gardish-e-daurāñ se miTā.e na ga.e ham
paalā thā use baad se bārāñ se bachā kar
jis aag se ai sham.a bachā.e na ga.e ham
haiñ band ye kis ā.īna-ḳhāne meñ ki bāhar
nāyāb nazāre nazar aa.e, na ga.e ham
ek lahr si dekhi gai pae na gae hum
haalanki yahin the kahin aae na gae hum
girdab mein kya hai jise tufan miTae
han gardish-e-dauran se miTae na gae hum
pala tha use baad se baran se bacha kar
jis aag se ai shama bachae na gae hum
hain band ye kis aaina-KHane mein ki bahar
nayab nazare nazar aae, na gae hum
- Book : Range-e-Gazal (Pg. 320)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.