ek lamha be-KHabar na rahe teri rah se
ik lamha be-ḳhabar na rahe terī raah se
dete rahe sadā.eñ tujhe ham nigāh se
mauqa-parast ġham ne kiyā dil ko tār-tār
ik pal rahā huuñ duur jo terī panāh se
sīdhī sapāT raah pe chal kar na kuchh milā
paa.e haiñ tajrabāt-o-hunar TeḌhī raah se
manzil kā rāh-e-saḳht se sīdhā hai rābta
ġham bhī kahāñ hai duur ḳhushī kī panāh se
gar jhuuT bhī kahā hai to sach ke bachāo meñ
ham ne savāb yuuñ bhī kamāyā gunāh se
bujhne diyā na ashkoñ se ġham kā diyā kabhī
raushan rakhā hai ishq ko garmī-e-āh se
ek lamha be-KHabar na rahe teri rah se
dete rahe sadaen tujhe hum nigah se
mauqa-parast gham ne kiya dil ko tar-tar
ek pal raha hun dur jo teri panah se
sidhi sapaT rah pe chal kar na kuchh mila
pae hain tajrabaat-o-hunar TeDhi rah se
manzil ka rah-e-saKHt se sidha hai rabta
gham bhi kahan hai dur KHushi ki panah se
gar jhuT bhi kaha hai to sach ke bachao mein
hum ne sawab yun bhi kamaya gunah se
bujhne diya na ashkon se gham ka diya kabhi
raushan rakha hai ishq ko garmi-e-ah se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.