ek lamha-e-visal se aage nikal gai
ik lamha-e-visāl se aage nikal ga.ī
maiñ ḳhvāhishoñ ke jaal se aage nikal ga.ī
chehre pe us ke rañj ke āsār dekh kar
chup-chāp har savāl se aage nikal ga.ī
kuchh maiñ bhī nā-shanās thī is kār-e-ḳhair meñ
har rañj har malāl se aage nikal ga.ī
aise ġham-e-hayāt ne bāñhoñ meñ le liyā
maiñ apnī dekh-bhāl se aage nikal ga.ī
kuchh din tire visāl ne mad.hosh kar diyā
maiñ ḳhvāhish-e-ma.āl se aage nikal ga.ī
tū bhī mire vajūd se āzād ho gayā
maiñ bhī tire ḳhayāl se aage nikal ga.ī
ek lamha-e-visal se aage nikal gai
main KHwahishon ke jal se aage nikal gai
chehre pe us ke ranj ke aasar dekh kar
chup-chap har sawal se aage nikal gai
kuchh main bhi na-shanas thi is kar-e-KHair mein
har ranj har malal se aage nikal gai
aise gham-e-hayat ne banhon mein le liya
main apni dekh-bhaal se aage nikal gai
kuchh din tere visal ne madhosh kar diya
main KHwahish-e-maal se aage nikal gai
tu bhi mere wajud se aazad ho gaya
main bhi tere KHayal se aage nikal gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.