ek lamhe ne jiwan-dhaara rok liya
ik lamhe ne jīvan-dhārā rok liyā
jaise kisī qatre ne dariyā rok liyā
kitnā maan gumān hai dene vaale ko
dard diyā hai aur mudāvā rok liyā
donoñ aalam mil ke jis ko rokte haiñ
maiñ ne us tūfān ko tanhā rok liyā
kabhī kabhī to mujh ko yuuñ mahsūs huā
jaise kisī ne merā hissa rok liyā
vo to sab kā dost hai merā kyā hogā
us ko to bas jis ne rokā rok liyā
ek sī saarī sub.heñ ek sī shāmeñ haiñ
kis ne 'akbar' bahtā dariyā rok liyā
ek lamhe ne jiwan-dhaara rok liya
jaise kisi qatre ne dariya rok liya
kitna man guman hai dene wale ko
dard diya hai aur mudawa rok liya
donon aalam mil ke jis ko rokte hain
main ne us tufan ko tanha rok liya
kabhi kabhi to mujh ko yun mahsus hua
jaise kisi ne mera hissa rok liya
wo to sab ka dost hai mera kya hoga
us ko to bas jis ne roka rok liya
ek si sari subhen ek si shamen hain
kis ne 'akbar' bahta dariya rok liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.