ek mah-ru se kal ki mulaqat bhi gai
ik māh-rū se kal kī mulāqāt bhī ga.ī
yuuñ mere dil se garmi-e-jazbāt bhī ga.ī
bāġh-e-dil-e-hazīn ko sarsabzgī kī chaah
be-faiz ab ke baar ye barsāt bhī ga.ī
raqs-e-junūñ meñ mahv the ham shaam se magar
irfān-e-zāt bhī na huā raat bhī ga.ī
saffāk zehniyat ko milā jab se eqtidār
amn-o-sukūñ kī mulk se bohtāt bhī ga.ī
piine ke baad aql salāmat na rah sakī
is kashmakash meñ izzat-e-sādāt bhī ga.ī
qaabū karegā kaun jarā.em ko ab yahāñ
mulkī adālatoñ se to haq baat bhī ga.ī
ab kaun merī bhuuk ko sufreh atā kare
hisse meñ jo thī mere vo ḳhairāt bhī ga.ī
sīrat ko kaun pūchhe hai sūrat ke sāmne
chaukhaT se ik ġharīb kī bārāt bhī ga.ī
'as.ad' zarā sañbhāl ke kholā karo zabāñ
pachhtāoge bahut hī agar baat bhī ga.ī
ek mah-ru se kal ki mulaqat bhi gai
yun mere dil se garmi-e-jazbaat bhi gai
bagh-e-dil-e-hazin ko sarsabzgi ki chah
be-faiz ab ke bar ye barsat bhi gai
raqs-e-junun mein mahw the hum sham se magar
irfan-e-zat bhi na hua raat bhi gai
saffak zehniyat ko mila jab se eqtidar
amn-o-sukun ki mulk se bohtat bhi gai
pine ke baad aql salamat na rah saki
is kashmakash mein izzat-e-sadat bhi gai
qabu karega kaun jaraem ko ab yahan
mulki adalaton se to haq baat bhi gai
ab kaun meri bhuk ko sufreh ata kare
hisse mein jo thi mere wo KHairaat bhi gai
sirat ko kaun puchhe hai surat ke samne
chaukhaT se ek gharib ki baraat bhi gai
'asad' zara sanbhaal ke khola karo zaban
pachhtaoge bahut hi agar baat bhi gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.