ek main hi tere hijr se bezar kahan tha
ek main hi tere hijr se bezar kahan tha
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
ik maiñ hī tire hijr se bezār kahāñ thā
har shaḳhs mire saath yahāñ nauha-kunāñ thā
aatī hai mujhe raakh nazar hadd-e-nazar tak
vo vaqt bhī guzrā hai ki phūloñ kā samāñ thā
ai mujh se bichhaḌne kā sabab pūchhne vaale
vo shaḳhs mirī jaan nahīñ dushman-e-jāñ thā
jo jaan chhiḌakte the vahī kahte haiñ mujh se
tū halqa-e-ahbāb meñ shāmil hī kahāñ thā
afsos tū imdād ko bar-vaqt na pahuñchā
ghar jal ke huā ḳhaak har ik samt dhuāñ thā
ye sach hai ki hoñToñ se pukārā na tirā naam
āñkhoñ meñ tirī diid kā manzar to ayaañ thā
maiñ chaltā rahā saañs kī gaThrī ko uThā.e
manzil thī mire paas na manzil kā nishāñ thā
maiñ jis ko bhulāne meñ bahut karb se guzrā
vo shaḳhs mire jism kī har rag meñ ravāñ thā
ek main hi tere hijr se bezar kahan tha
har shaKHs mere sath yahan nauha-kunan tha
aati hai mujhe rakh nazar hadd-e-nazar tak
wo waqt bhi guzra hai ki phulon ka saman tha
ai mujh se bichhaDne ka sabab puchhne wale
wo shaKHs meri jaan nahin dushman-e-jaan tha
jo jaan chhiDakte the wahi kahte hain mujh se
tu halqa-e-ahbab mein shamil hi kahan tha
afsos tu imdad ko bar-waqt na pahuncha
ghar jal ke hua KHak har ek samt dhuan tha
ye sach hai ki honTon se pukara na tera nam
aankhon mein teri did ka manzar to ayan tha
main chalta raha sans ki gaThri ko uThae
manzil thi mere pas na manzil ka nishan tha
main jis ko bhulane mein bahut karb se guzra
wo shaKHs mere jism ki har rag mein rawan tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.