ek manzar-e-ranai aafaq mein har su hai
ek manzar-e-ranai aafaq mein har su hai
Syed Bashir Husain Bashir
MORE BYSyed Bashir Husain Bashir
ik manzar-e-ra.anā.ī āfāq meñ har sū hai
tāroñ meñ tirā jalva phūloñ meñ tirī bū hai
chāhā thā ki apne ko ik yaar zarā dekhūñ
dekhā to yahī dekhā ai dost tū hī tū hai
sajde meñ rahegā sar jo chāhe sitam kar le
terī jo vo aadat hai apnī bhī yahī ḳhū hai
ik ālam-e-hairat meñ Duubā huā rahtā huuñ
allah re mirā aalam aalam meñ tū hī tū hai
dīvāna banāyā hai kyoñ us kī mohabbat ne
ai be-ḳhabar-e-duniyā duniyā ram-e-āhū hai
jannat ke tasavvur kī is vaqt kahāñ fursat
ra.anā.i-e-sāqī hai sabza hai lab-e-jū hai
insān kā dil kyā hai duniyā-e-havādis meñ
TuuTā huā taarā hai Tapkā huā aañsū hai
ek manzar-e-ranai aafaq mein har su hai
taron mein tera jalwa phulon mein teri bu hai
chaha tha ki apne ko ek yar zara dekhun
dekha to yahi dekha ai dost tu hi tu hai
sajde mein rahega sar jo chahe sitam kar le
teri jo wo aadat hai apni bhi yahi KHu hai
ek aalam-e-hairat mein Duba hua rahta hun
allah re mera aalam aalam mein tu hi tu hai
diwana banaya hai kyon us ki mohabbat ne
ai be-KHabar-e-duniya duniya ram-e-ahu hai
jannat ke tasawwur ki is waqt kahan fursat
ranai-e-saqi hai sabza hai lab-e-ju hai
insan ka dil kya hai duniya-e-hawadis mein
TuTa hua tara hai Tapka hua aansu hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.