ek masafat panw shal karti hui si KHwab mein
ik masāfat paañv shal kartī huī sī ḳhvāb meñ
ik safar gahrā musalsal zardī-e-mahtāb meñ
tez hai bū-e-shagūfa haa.e marg-e-nā-gahāñ
ghir ga.ī ḳhāk-e-zamīñ jaise hisār-e-āb meñ
hāsil-e-johd-e-musalsal mustaqil āzurdagī
kaam kartā huuñ havā meñ justujū nāyāb meñ
tañg kartī hai makāñ meñ ḳhvāhish-e-sair-e-basīt
hai asar daa.im falak kā sahn kī mehrāb meñ
ai 'munīr' ab is qadar ḳhāmoshiyāñ ye kyā huā
ye sifat aa.ī kahāñ se pāra-e-sīmāb meñ
ek masafat panw shal karti hui si KHwab mein
ek safar gahra musalsal zardi-e-mahtab mein
tez hai bu-e-shagufa hae marg-e-na-gahan
ghir gai KHak-e-zamin jaise hisar-e-ab mein
hasil-e-johd-e-musalsal mustaqil aazurdagi
kaam karta hun hawa mein justuju nayab mein
tang karti hai makan mein KHwahish-e-sair-e-basit
hai asar daim falak ka sahn ki mehrab mein
ai 'munir' ab is qadar KHamoshiyan ye kya hua
ye sifat aai kahan se para-e-simab mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.