ek masarrat mere atraf ko anjaani de
ik masarrat mire atrāf ko anjānī de
nutq ko lab se uThā aañkh ko hairānī de
hai tamannā ki chamakte raheñ mehvar ke baġhair
havas-e-ḳhām na de ishq tū lā-fānī de
naqsh to saare mukammal haiñ ab uljhan ye hai
kis ko ābād kare aur kise vīrānī de
dekh kar aa.e haiñ kuchh log vahāñ sabz lakīr
maiñ use dekh sakūñ itnī girāñ-jānī de
ye to dekheñ ki hai buniyād meñ kyā kyā mahfūz
ghar banāyā hai to ab varta-e-tuġhyānī de
aks-e-ruḳh kaisā yahāñ kuchh bhī nahīñ hai dil meñ
ham ko shādāb na kar hausla tūfānī de
sāmne tere ham is ḳhaak se sharminda na hoñ
maut āsān ho yā rizq meñ arzānī de
jaane kyā kyā nazar aatā hai tamannā bar-kaf
mere mālik mujhe do roz kī sultānī de
hausla haar ga.ī tishna-dahānī 'haqqī'
ab tū mashkīza uThā aur mujhe paanī de
ek masarrat mere atraf ko anjaani de
nutq ko lab se uTha aankh ko hairani de
hai tamanna ki chamakte rahen mehwar ke baghair
hawas-e-KHam na de ishq tu la-fani de
naqsh to sare mukammal hain ab uljhan ye hai
kis ko aabaad kare aur kise virani de
dekh kar aae hain kuchh log wahan sabz lakir
main use dekh sakun itni giran-jaani de
ye to dekhen ki hai buniyaad mein kya kya mahfuz
ghar banaya hai to ab warta-e-tughyani de
aks-e-ruKH kaisa yahan kuchh bhi nahin hai dil mein
hum ko shadab na kar hausla tufani de
samne tere hum is KHak se sharminda na hon
maut aasan ho ya rizq mein arzani de
jaane kya kya nazar aata hai tamanna bar-kaf
mere malik mujhe do roz ki sultani de
hausla haar gai tishna-dahani 'haqqi'
ab tu mashkiza uTha aur mujhe pani de
- Book : Imkaan-e-roz-o-shab (Pg. 105)
- Author : Syed Abul Hasnat Haqqi
- Publication : Educational Publishing House (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.