ek masraf-e-auqat-e-shabina nikal aaya
ik masraf-e-auqāt-e-shabīna nikal aayā
zulmat meñ tirī yaad kā ziina nikal aayā
har-chand ki mahfil ne mirī qadr bahut kī
uktā ke añgūThī se nagīna nikal aayā
phir koh-kanī Dhaal rahī hai na.e teshe
phir faḳhr se chaTTān kā siina nikal aayā
sach-much vo taġhāful se kināra hī na kar le
maiñ sochne baiThā to pasīna nikal aayā
ġhota jo lagāyā hai to māyūs huā huuñ
har mauj ke dāman meñ safīna nikal aayā
ghabrāyā huā dekh ke patjhaḌ ke aqab se
mere liye sāvan kā mahīna nikal aayā
jab vaqt ne chhānī haiñ 'muzaffar' kī bayāzeñ
har she'r meñ nudrat kā dafīna nikal aayā
ek masraf-e-auqat-e-shabina nikal aaya
zulmat mein teri yaad ka zina nikal aaya
har-chand ki mahfil ne meri qadr bahut ki
ukta ke anguThi se nagina nikal aaya
phir koh-kani Dhaal rahi hai nae teshe
phir faKHr se chaTTan ka sina nikal aaya
sach-much wo taghaful se kinara hi na kar le
main sochne baiTha to pasina nikal aaya
ghota jo lagaya hai to mayus hua hun
har mauj ke daman mein safina nikal aaya
ghabraya hua dekh ke patjhaD ke aqab se
mere liye sawan ka mahina nikal aaya
jab waqt ne chhani hain 'muzaffar' ki bayazen
har she'r mein nudrat ka dafina nikal aaya
- Book : kamaan (Pg. 225)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.