ek mauj-e-suKHan laya KHayalat ka dariya
ik mauj-e-suḳhan laayā ḳhayālāt kā dariyā
alfāz meñ bahte hue jazbāt kā dariyā
ik shorish-e-paiham meñ giraftār hai dil bhī
andoh۔farozāñ hai siyah-rāt kā dariyā
dar-pesh mujhe aise samundar kā safar hai
jis meñ mujhe laayā hai ye hālāt kā dariyā
biite hue lamhoñ kī huuñ tasvīr-e-shikasta
ā.īna-e-shorīda mirī zaat kā dariyā
shāloñ meñ lipaTtī huī pur-haul fazā.eñ
sailāb bulā laayā hai āfāt kā dariyā
'uzmā' mirī tahzīb kī pahchān yahī hai
mazbūt havāla hai rivāyāt kā dariyā
ek mauj-e-suKHan laya KHayalat ka dariya
alfaz mein bahte hue jazbaat ka dariya
ek shorish-e-paiham mein giraftar hai dil bhi
andoh۔farozan hai siyah-raat ka dariya
dar-pesh mujhe aise samundar ka safar hai
jis mein mujhe laya hai ye haalat ka dariya
bite hue lamhon ki hun taswir-e-shikasta
aaina-e-shorida meri zat ka dariya
shaalon mein lipaTti hui pur-haul fazaen
sailab bula laya hai aafat ka dariya
'uzma' meri tahzib ki pahchan yahi hai
mazbut hawala hai riwayat ka dariya
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 407)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.