ek mauja-e-gul-bu ze-gulistan-e-adam hum
ik mauja-e-gul-bū ze-gulistān-e-adam ham
ik nuqta haiñ mauhūm ze-duniyā-e-qalam ham
duniyā meñ kashish dī koī mohlat bhī to dete
ik lamha kī fursat hai ki gul-barg pe nam ham
jiite bhī rahe to bhī adam hī ke barābar
duniyā-e-mah-o-mehr meñ ik zarre se kam ham
pā-kobī-e-zohra huā afsāna-e-dī-roz
hai ġhalġhala aflāk pe haiñ ahl-e-himam ham
kī aap ne duniyā to atā ham ko bahar-taur
kuchh aisī kamī hai ki haiñ mohtāj-e-karam ham
kyā taur zamāne ke samajh leñ yahī 'rizvāñ'
jab koī na apnā sā rahā aur na ham ham
ek mauja-e-gul-bu ze-gulistan-e-adam hum
ek nuqta hain mauhum ze-duniya-e-qalam hum
duniya mein kashish di koi mohlat bhi to dete
ek lamha ki fursat hai ki gul-barg pe nam hum
jite bhi rahe to bhi adam hi ke barabar
duniya-e-mah-o-mehr mein ek zarre se kam hum
pa-kobi-e-zohra hua afsana-e-di-roz
hai ghalghala aflak pe hain ahl-e-himam hum
ki aap ne duniya to ata hum ko bahar-taur
kuchh aisi kami hai ki hain mohtaj-e-karam hum
kya taur zamane ke samajh len yahi 'rizwan'
jab koi na apna sa raha aur na hum hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.